Thursday, April 5, 2012

Jeevan sanchar


Nayana bichhake vakhat intjaar kare dware pe ,
Liye haath mein pushapmala, satkaar kare vo tera…...
Khush rahe sabhi garah tum pe, sukh-shanti ghar kare basera,
Sonne ki itton (bricks) se nirmit, aisa ho sawaranim ghar tumhara …
Jivan mein chamko aise tum, jaise Dhruv tara sabse nayara,
Achhe bandhu ho tumhare, bano tum sabke Sahara…..
Har khushi khele aangan mein tere, ridhi sidhi daale dera,
Subah ki kirno ko lekar , tilak kare tumhe savera…
Chiraayu Nirog raho tum, har din bane golden tumhara,
Khushbu se hamesha mahke ,surbhit ho jivan saara….
Yahi ichha hai meri , dayadrishti bahi rahe tum par,
‘Panditmay’ Managlamay kamnao se mahke hardin tumhara…..
Munish Sharma 'Pandit ji'